Can I be Personal-II (janāzā-e-ilm)

janāzā-e-ilm

is ishq-e-janāzā-e-ilm main
makbūl hum hue
apne hī āp se nafrat kī dehshat main
mām’ūr hum hue
ilm se dostī karne kī sāzish main
badnasībī humpe savār ho gai
hum mis-mār ho gaye
khudī ke ilm se khudī bīmār ho gaye
ai ilm ! tujhpe humne zindagī nisār kī
par yu tūne hamārī bekhudī darkār /? kī
ilm-e-mastānā-e-ālam
ishq-e-janāzā-e-ilm ke tūfān
pe hum savār, makbūl hue
badnāmī, be-gairat, badnasībī kā ālam
be-ilm hum apne hī āp main qayām kar gaye
hamāre armāno kī thandī rākh tak na bachī
yun bebas, bedīn, bīmār kī ek ānh se shor bhī na machī
bas bahut jee li zindagī, bahut hue armān pūre
bahut kar liyā hāsil ilm, bahut chāhat rahī adhūre
ishq kā paigām, ilm kā ilhām
maut pe yaqeen, khudī afreen
madhoshi-e-ishq-e-ilm main fanā
zehan ke khayālāton kī sanā
in-na-lillahe-va ina-raja-un

Advertisements

Author: Mrinal Kaul

I am a Kashmirian Orientalist

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Google photo

You are commenting using your Google account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s